TYPES OF DD FREE DISH SET TOP BOXES
DD FREE DISH set top box me hume bahut se types mil jate h. Jinme price bhi alag alag milta h. Agar aap DD FREE DISH ke sabhi channels dekhna chahte ho, to aapko aapki local market se MPEG4 box mil jayega. Jisko purchase karke aap dd free dish ke sabhi channels ko enjoy kar sakte ho. Local market me MPEG4 box ki alag alag company milegi. Lekin 90% boxes me same card ( Motherboard ) milta h. Inki keemat 750rs se 850rs tak hoti h.
READ MORE – DD FREE DISH NO SIGNAL PROBLEM
TYPES OF DD FREE DISH SET TOP BOXES –
FREE TO AIR boxes me bhi aapko kai type ke boxes dekhne ko mil jate h. Jinme STANDARD MPEG4 ICAS, FULL HD MPEG4, HEVC SUPPORTED, T2MI, DVB-T2, 4K SUPPORTED & ANDROID SUPPORTED etc. Aap apne budget or box ke fuction ke according set top box purchase kar sakte ho. Above di gayi sabhi category ki detail aap below dekh sakte ho.
STANDARD MPEG4 ICAS –
DD FREE DISH ek Govt. dth platform h. Jiski apni koi manufacturing nahi h. Prasar Bharti ne kuchh companies ko ICAS boxes manufacture karne ke liye authority di hui h. Jo ki aise standard mpeg4 boxes banati h. Jinme kewal DD FREE DISH ke authorized channels hi chalaye ja sakte h. Lekin in Set Top Boxes me Doordarshan ke HD channels nahi dekhe ja sakte. Inki keemat 1450rs ke kareeb hoti h.
FULL HD MPEG4 BOXES –
MPEG2 or ICAS boxes ko chhodkar baaki sabhi free to air boxes full hd mpeg4 boxes hote h. Inki price 650rs se start ho jati h. In boxes me aap DD FREE DISH ke sabhi HD or Non HD channels ko dekh sakte ho. Sath hi dd free dish ki direction me milne wale DISH TV ke free channels ko bhi aap in boxes me dekh sakte ho.
HEVC SUPPORTED SET TOP BOXES –
HEVC ki Full Form hoti h ‘High Efficiency Video Coding’. Isko hum H.265 bhi likh dete h. Ye video quality ko improve karta h. Mpeg4 ko upgraded karke HEVC banaya gya h. Saral bhasha me pahle aap mobile me 2G network use karte the, uske baad 3G, 4G and now 5G band aa gaya h. Vaise hi pahle format MPEG1 tha. Fir MPEG2 Then MPEG4 or iske baad HEVC format.
Agar koi channel HEVC format me ho, to usko kewal kisi HEVC Set Top Box me hi play kiya ja sakta h. Lekin Indian Market me kewal HEVC 8Bit Rate ke Set top box hi dekhne ko milenge. Jabki HEVC me 12 bit tak box dekhe ja sakte h.
T2MI SUPPORTED SET TOP BOXES –
Currently India me kisi bhi satellite par T2MI supported channels nahi milte. Other countries me aisi tecknology ka use kiya ja raha h.
T2 SUPPORTED SET TOP BOX –
DOORDARSHAN DVB T2 ki service provide karwata h. Jiske liye aapke paas ek T2 supported Set Top Box hona chahiye. Doordarshan currently 8 tv channels ke sath sath Radio channels bhi provide karwata h. Isko chalane ke liye aapko kisi outdoor antenna ki jarurat nahi h. Ye service FREE h. Lekin India ke 16 cities me hi ye service active h.
4K & ANDROID SET TOP BOXES –
Free To Air boxes me advance set top boxes bhi available h. Jinme aapko Android or 4K picture quality ka support milta h. Ek android set top box me aap Android apps ke saath saath DVB-S, S2,T2MI etc ke features mil jate h. Aise Set Top Boxes Online ya Market se 3000rs se 9000rs tak me milte h. Currently Indian DTH me koi bhi channel 4k supported nahi h.
Bahut se MPEG4 boxes me aapko YOUTUBE ka option bhi mil jata h. Jiske liye aapko ek wifi dongel alag se purchase karna hoga. Jiski connectivity aap kisi bhi hotspot ya wifi se kar sakte h, or youtube ko apne tv screen par dekh sakte h.
TYPES OF DD FREE DISH SET TOP BOXES