DD FREE DISH 56 E AUCTION FOR MPEG2 SLOTS

DD FREE DISH 56 E AUCTION ki date announce kar di gayi h. Prasar Bharti ne kal 14/12/2021 ko apni website par iske regarding notification announce kiya h. DD FREE DISH 56 E AUCTION kewal Mpeg2 slots ke liye rakha gaya h. Jaha par aap kisi bhi Free to air Mpeg2 box me currently 3 slots vacant dekh rahe ho. Prasar bharti ne apne notification me bataya h, ki 24/12/2021 ko 56th e auction ko online kiya jayega.

DD FREE DISH

DD FREE DISH 56 E AUCTION TIME PERIOD –

Agar koi Broadcasters DD FREE DISH ke platform par apna channel launch karna chahta h, to iske liye usko online apply karna hoga. Jiski last date 23/12/2021 ko noon 03.00pm tak h. Agar possible hua to 24 December ko online E-Auction kar diya jayega. E-Auction me winner hone wala channel DD FREE DISH ke platform par 01 January 2022 ko launch kiya jayega. Sabhi winner channels ka time period 01 January to 31 March 2022 tak Pro Rata base par hoga. March 2022 ke last me new E Auction kiya jayega. Jisme winner channels ko license one year tak ka diya jata h.

DD FREE DISH VACANT SLOTS –

Last 54th E-Auction me ISHARA TV or NAAPTOL channels winner rahe the. Lekin Broadcasters ne in channels ko 1 month ke baad DD FREE DISH ke platform se hata liya. Jiske baad 2 slot MPEG2 box me vacant dekhne ko milne lage.

Doordarshan ka 2 channels Rajya Sabha or Lok Sabha ko bhi merge karke SANSAD TV me convert kar diya gaya. Jiski vajah se yaha par bhi 1 slot vacant dekhne ko mil raha h. So currently 3 aise slots h. jinke liye DD FREE DISH 56 E AUCTION ko announce kiya gaya h.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *