DD FREE DISH 57th E AUCTION
DD FREE DISH 57th e auction ki PRASAR BHARTI ne announcement kar di h. Jiske according is baar 12 Private channels ko 1 saal ke liye license diya jayega. Lekin ye sabhi 12 channels MPEG4 set top box me hi dekhe ja sakenge. 57th e auction MPEG4 slots ke liye announce hua h. Agar current ki channel list check kare to, kewal 11 private channels hi dekhne ko mil rahe h. Jinme I LOVE, NEWS 24, INDIA NEWS etc channels hi dekhne ko mil rahe h.
Agar aap complete channel list dekhna chahte h, to yaha TOUCH kijiye. DD FREE DISH 57th E AUCTION ko 10 February ko kiya jayega. Lekin aisa bhi ho sakta h ki e auction ki date ko extend kar diya jaye. Agar koi channel DD FREE DISH ke mpeg4 slot par apna channel launch karna chahta h, to usko application submit karne ki last date 08 Feb 2022 di gayi h. Jiska last time 03.00 pm rakha gaya h.
HOW MANY TOTAL CHANNELS IN MPEG4 –
Mpeg4 slots total 22 h. Jinko Freq 11630 V 30000 scan karke dekha ja sakta h. Lekin agar aapke paas ek MPEG2 set top box h, to aap is Freq ko scan nahi kar sakte. Total 22 channels me 11 Private channels, 2 International, 8 Doordarshan ke or 1 vacant slot dekhne ko milta h. Prasar Bharti MPEG4 slots ko increase bhi kar sakti h. Taaki jayada se jayada private channels DD FREE DISH ke platform se jud sake.
HOW TO BUY A MPEG4 BOX –
Agar app Free To Air Mpeg4 box lena chahte ho, to isko aap apni local market se purchase kar sakte ho. Jiska price 800rs to 1500rs tak mil sakta h. Ye price box ke Feature par depend karta h. Free to Air Mpeg4 Box par aapko DVB-S2 likha hua dekhne ko milega.
58th E AUCTION FOR MPEG2 SLOTS –
DD FREE DISH 57th E Auction MPEG4 slots ke liye ho raha h. Iske baad 58th E Auction ki announcement ki jayegi. Jisme currently mil rahe sabhi private channels ko remove kar diya jayega. Sabhi channels ko DD FREE DISH ke platform par ane ke liye fir se apni application submit karni hogi. Then online BID lagakar slot ko win karna hoga. Complete process me 4 se 5 din lag sakte h.
[…] BHARTI ne DD FREE DISH 57 E AUCTION ko announce kar diya tha. Jisme Participate karne wale channels ko apni application aaj 08/02/2022 […]